Friday, July 29, 2005

Alfaaz

Kalam liye haath me,
Souchu mein aaj phir ik baat...
Khoj hai kiski, nazar ko meri
Kyu uthe hai faryaad me ye haath?
Nazdeek paun kabhi duriyoon ko mai,
Kabhi kharde dikhe us paar,
Goonje kiska sangeet
Hai ye kiski aawaaz?
Jaana pechana lagta hai mujhe
Ye dastak ka andaaz.
Khol darwaza paun mein
Ik chupa hua raaz,
Nikloon jo ghar se bahar
Mile mujhe naye parwaaz.
Badli se laagae dhup chaoon ki
Jaise odh ki aaye ho
Badloon ka waas;
Phelaye baahein dehka maine
Pawan ka adbhut naach,
Itna josh ki hai nachayee
Patoon ko bhi apne saath.
Maati ki pyas ka hua khatam intezaar
Zoro se garje megh
Zor ki barsi barsaat.
Mile kalam ko hain naye alfaaz,
Kudrat ne hai dekhayi
Soch ko nayi raah,
Jiski thi meri nazar ko talash,
Wo khushi-jo dhund rahi thi aas...
Payi maine apne dil ke paas,
Mile mujhe naye ALFAAZ.

1 comment:

Ansh said...

thanks for stopping by my blog and leaving ur foot prints.

wht contributors list are you tslking about?